ab vo baat kahaa.n, vo 'ibaadat ab terii chaahato.n me.n kahaa.n, ab vo baat kahaa.n, vo 'ibaadat ab terii chaahato.n me.n kahaa.n, ham kyaa karte.n ummiid ko.ii, ab ashk hasrato.n me.n kahaa.n, bas hai shab-bhar ke mehmaa.n, phir rahenge tere aasmaa.n me.n kahaa.n, bas hai shab-bhar ke mehmaa.n, phir rahenge tere aasmaa.n me.n kahaa.n, barsaa de baadal pyaar kaa ki ThanDak aisii baarisho.n me.n kahaa.n, ki ThanDak aisii baarisho.n me.n kahaa.n, shaayad pataa nahi.n in gulo.n ko, shaayad naadaa.n hai.n saare, shaayad pataa nahi.n in gulo.n ko, shaayad naadaa.n hai.n saare, jo ta.Dpan mere dil me.n hai, bha.nvaro.n kii dha.Dkano.n me.n kahaa.n, ab vo baat kahaa.n, naa nii.nd, naa sapno kaa kaarvaa.n, ab naa hai vo ahl-e-dil, ab vo baat rishto.n me.n kahaa.n, ab vo baat kahaa.n, vo rahmat ab terii aa.nkho.n me.n kahaa.n,
रहमत – divine kindness
रि'आयतों – gestures of kindness, favours, concessions
शब-भर – only for the night
मेहमाँ - guest
आसमाँ - sky
गुलों - roses
नादाँ - naive
तड़पन - agitation
कारवाँ – large group of people travelling together, caravan
अहल-ए-दिल – people with generous and loving heart
© 2024 All Rights Reserved. Design by Sultanimator